Aaj Kufe Me Hai Kohram

Ali haye Ali,
Aaj kufe me hai kohram ali haye ali.

Hai falak larza baranjam ,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Kon zakhmi hua sajde me zameen kanp uthi,
kiska ye khun baha, subha andhere me dhali,
kyun ajal lai hai paigam,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Fark e insaf pe ze zarb lagai kisne,
mazhar e adl ki tasweer mitai kisne,
sar pe ab zulm ki hai shaam,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Khul hua haye yateemo ka sahara na raha,
kon zainab ko batae tera baba na raha,
kaise paegi wo aaram,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Aaj fir gulshan e zehra me khiza aai hai,
ranjh o aalam ki har samt ghata chai hai,
tham gai gardish e aiyyam,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Ghash me hain zainab o kulsum khuda khair kare,
dil e abbas hai maghmoon khuda khair kare,
kamp uthe hain dar o bam ,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Kar qahe hain dar o deewar ali ka matam,
aasman jin o malak noha kuna hai paiham,
kaise dil ko mile aaram,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Aal e ahmed ke masaib ki nahi koi had,
samra ho k najaf ho ya madina mashad,
kufa o karbobala shaam,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Hai zafar waqt dua mang le ab ro ro kar,
jab likha jae ghulamaan e ali ka daftar,
usme shamil ho mera naam,
ali hae ali, ali hae ali.

Aaj kufe me hai kohram ali hae ali.

Comments