Beytiyaan Aayi Hain Maiyyat Ke Sirhane Ya Ali (2019)

Di Sada Kofay Mein Rooh-e-Fatima Ne Ya Ali.
Betiyaan Aayi Hain Maiyyat Ke Sirhane Ya Ali.


Zulm Kofay Mein Kiya Hai, Kaisa Ahl-e-Sham Ne.
Umar Bhar Zainab Na Aayi, Thi Padar Ke Samne.
Aaj Kaise Aayi Hai, Maiyyat Pe Jane Ya Ali.


Gham Ke Aalam Mein Ruqaiyya, Ki Wafa Toh Dekhiye.
Kis Tarha Woh Zainab-o-Kulsoom Se Aagay Barhe.
Lash Par Aayi Nahi, Aanso Bahane Ya Ali.


Dekh Kar Zainab Ki Halat, Yaad Aata Hai Mujhe.
Uss Ghar Ummal Musayab, Mere Baba Kehte The.
Jis Ghar Di Thi Humein, Zainab Khuda Ne Ya Ali.


Kya Bataon Kya Guzarti, Hai Tere Abbas Par.
Hosla Kaise Kare, Zainab Ko Rota Dekh Kar.
Ghar Se Bahar Hai Woh Pehray, Ke Bahane Ya Ali.


Teen Din Se Shoor Hai, Har Ik Azaan Par Bain Ka.
Kis Tarha Se Gham Bataon, Boliye Hasnain Ka.
Mere Bache Aur Yateemi, Ke Zamane Ya Ali.


Aap Ki Maiyyat Pe Kaise, Aayi Hain Yeh Dekhiye.
Jate Jate Beti Ka, Lehja Toh Sunte Jaiye.
Shaam Jana Hai Isse, Khutbay Sunane Ya Ali.


Kya Kahon Baba Ka Kaisa, Haal Tha Aflak Par.
Gir Gayi Thi Main Baqaiya, Mein Tarap Kar Khak Par.
Aap Ne Choomay The Jab, Ghazi Ke Shaane Ya Ali.


Maa Ka Saya Ho Na Baqi, Baap Hi Zinda Rahe.
Jate Jate Betiyon Ko, Itna Batla Dijiye.
Kaise Paltay Hain Bhala, Aise Gharane Ya Ali.


Zulm Ki Akbar Howi Hai, Har Taraf Youn Inteha.
Karbala, Kofa, Najaf, Yasrab, Se Aati Hai Sada.
Aaye Ab Ibn-e-Hasan, In Ko Basane Ya Ali.

Comments