Hai Janaza Haider e Karaar Ka (2020)

Momino do mil ke kandha,hai janaza Haider karar ka
Chal basa Zainab ka baba,hai janaza Haider karar ka

Kis ne yeh mehrab mai rukn e hidayat de diya,yeh sitam kaisa hua
Noha ye jibreel ka tha,hai janaza Haider karar ka

Rok lo bhaiyya janaza ,mere baba jaan ka, ro ke Zainab ne kaha
Dekh loon chehra dubara, hai janaza Haider karar ka

Koi Zainab se yeh keh de, ro le jee bhar ker abhi, sath hain bhai sabhi
Hai salamat tera parda, hai janaza Haider karar ka

Eid hai nazdeek aur ghar, mai qayamat hogayi, hai saf e matam bichi
Keh rahi hai ro ke Zehra, hai janaza Haider karar ka

Kaun kufe ke yateemo, ka rakhe ga ab khayal, gham se hain saare nidhaal
Shor hai wa gurbata ka, hai janaza Haider karar ka

Baap ke qadmon pe sar rakh, ker haram ki aas ne ,yeh kaha Abbas ne
Alvida ghazi ke baba, hai janaza Haider karar ka

Teer aayega janaze, per na phathar aayega, aur na wapas jayega
Shaan se yeh dafan hoga, hai janaza Haider karar ka

Sham ka ahwal jab beti se kehte the Ali, gham ke maare us ghari
Zard tha Muala ka chehra, hai janaza Haider karar ka

Hai taqallum yeh qayamat, roze daron ke liye, pursa daron ke liye
Ao dein Mehdi ko pursa, hai janaza Haider karar ka

Comments