Hum Madhe Ali Mein Daar Pe Bhi

Hum madhe ali mein daar pe bhi lafzo'n ko rawani dete hai

Hum Madhe Ali  Me Dar Pe Bhi Lafzo'n Ko Rawani Dete Hain,
Kat'ti Hai Zabaa'n Kat Jaye Magar Paigham Zabani Dete Hain...

Shahid Hai Adaa e Mesam Bhi Hum Hain Woh Ali ke Dewane
Jis Ped Pe Phansi Lagni Hai Us Ped Ko Pani Dete Hain.

Peshaniye Hur Par Yeh Keh kar Rumaal Ko Bandha Sarwar ne,
Jannat Bhi Fida Hojayegi Hum Aisi Nishani Dete hain.

Qurban Huye Jab Run Me Habib Paigham Diya Duniya Ko Ajeeb,
Hum Apni Zaeefi Ke Badle Mazhab Ko Jawani Dete Hain.

Abbas Ke Turbat ke hi Qareeb Pani Ne Theher ke Batlaya,
Me Behta Hun Abbas Mujhe Jab Izn e Rawani Dete Hain.

Abbas ne Pani Darya ko Chullu Se Pila kar Batlaya,
Muthi me Hai Kausar Hum Khud Hi Daryao'n ko Pani Dete Hain,

Haider Ne Dua Hai Jab Mangi Qudrat ne Kaha Aye Mere Ali ,
Abbas Soorat Me tumko Hum Tera hi Sani Dete Hain.

Hum Madhe Ali Me daar Pe bhi Lafzon Ko Rawani Dete Hain,
Kat'ti Hai Zabaa'n Kat jaye Magar Paigham Zabani Dete Hain...

Comments