Abbas Tujhe Ahle Wafa Yaad Karenge

aashur ki woh raat, woh sannatay ka aalam
Fitrath ki khamoushi mai farishtoun ka woh matam 
soya huva run mei asadullah ka zaigham
 aur khoon mai dooba huva islam ka parcham 

Dekhi na gayi bachchoun ki jab tashnadahani 
aankhoun mai khataknay lagi maujoun ki rawaani 
Paani kay liye apna lahoo kar diya paani 
Bachpan pay sakina ke fida kardi jawaani 

Qabzey mai thee talwar ke khabzey mai khudayi 
Doh haath chalee thee kay taraayi nazar aayi 
Bhaayi ki vigha dur say dekha kiye bhaayi 
Yun shaan-e-wafa tunay wafadaar dikhayi 

Duniya say gaya shaan wafaoun ki dikhakar 
Paani na piya phenk diya muh say lagaakar 
Ghodey say gira khaak pay baazu ko kataakar 
soya bhi tho soyi huvi millath ko jagaakar 

Aye Fatima Zehra kay Qamar nayaar-e-taabaan 
Baazu-e-hussain  ibne  ali nasir-e-imaan
khaaliq ki qasam kar gaya islam pa ehsaan 
aye mashk-e-sakina kay mohaafiz teray qurbaan 

Kazim koyi karta hai tho karney doh bahaana 
Goonjayga fizaaoun may wafaaoun ka taraana 
har rang may dhal jaayega yeh gham ka fasana 
Fitrat toh na badhlegi badal jaye Zamana

Comments