Abbas Utto Aag Lagi Jalthey Hain Qaimey

Sholay hain bhadakthay huve har simt dhuvaan hai
Zainab pa museebath hai qayarnath ka samaa hai
Kehti hai muhaafiz meray parde ka kahaan hai
Hum gheerath-e-Hyder meri chaadar tho bachaalay
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Phir ghaiz-e-Yadullah zamane ko dikhaao
Faryaad chaheethi ki hai imdaad ko aao
Gauhar na cheenay aakay bhateeji ko bachaao
Daaman sey Sakina kay hain liptay huvey sholay
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Tum aao tho phir zulm ki taaqath na rahegi
Tum aao tho Zainab ki rida chhin na sakhegi
Tum aao tho beemaar ki masnadh na jalegi
Tum aao tho beemaar pa barseingay na koday
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Barchi ki ani par hai abhi tak dil-e-Akbar
Aur baap ki aagoush mai kumlaa gaye Asghar
Shabbir ki gardan pa chala shimr ka qanjar
Ab Abid-e-beemaar bhi sholoun mai ghiraa hai
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Jalti huvi rethi pa paday hain taneh beysar
Yeh Aun-o-mohammed hain woh Qasim hai woh Akbar
Phir ek naye zulm pay tayyaar hai Lashkar
Paamali-e-shabbir kay hothay hain iraaday
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Ab aale mohammed pay qayaamath ki ghadi hai
Kya waaris-e-tatheer pay uftaad padhi hai
Yeh dukhtar-e-Zehra hai jo balway mai khadi hai
Beemaar sambhaltha nahin koday hain barasthay
Abbas utto aag lagi jalthey hain qaimey (x2)

Comments