Shaam Ka Bazaar Abid-e-Beemaar

Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar
Paaoun may bedi touq-e-giraan baar

Bhoolega na woh manzar, naizay pay saray Sarwar
Bay maqna-o-bay chaadar, balway may phupi maadar
Aur majma-e-kuffaar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Bazaar ki zeibaayi, kotthoun pay tamashaayi
Aada ki safaaraayi, aur aalam-e-tanhaayi
Woh bekas-o-laachaar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Darbaar mai sar uryaan aathay hain haram giryaan
Uttney laga ek toofaan mehshar ka meher taabaan
Jumbish mai hai darbaar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Bu aayi tho ghabraa kar bachchi ney kaha rokar
Is tasht may hai jo sar woh toh hai sar-e-Sarwar
Kaise karoon deedaar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Kuch Shimr say farmaado gardhan meri khulwaado
Sar Baba ka dilwaado ya usko yeh samjhaado
Maarey na sitamgaar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Haakim ne yeh sunn paaya tho aur sitham dhaaya
Sar poush ka sarkaaya aur bachchi ko dikhlaaya
Chillaayi woh ek baar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Dukhtar ki sadaa sunkar phir tasht-e-thilaa sey sar
Godhi mai gaya uttkar naadaan ney liptaakar
Sar par rakhe rukhsaar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Zindaan may Anees-e-gham karthay hain haram maatam
Maa poochti hai paiham kyon aankh hai yeh purnam
Kya margayi dildaar Abid-e-beemaar
Shaam ka bazaar Abid-e-beemaar

Comments