Ya Fatema Hussain Ka Pursa Qubool Ho

Qalb-e-Nabi ke chaen ka pursaa qubool ho
Hyder ke Noor-e-Ain ka pursaa qubool ho
Maula-e-mashraqain ka pursaa qubool ho
Zainab ke shor-o-shain ka pursaa qubool ho
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Maatam hai Karbala may Mohammad ki aal ka
Qasim jari ka Akbar-e-Yousuf Jamaal ka
Abbas-e-zee viqaar ka Bano ke laal ka
Kunba aseer-e-gham hai shahey khush khisaal ka
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Pyaase galay pe khanjar-e-bedaad jab chalaa
Jalti zameen pe thaa tanay besar Hussain ka
Maabainay aasmaan-o-zameen hashr tha bapaa
Rothay thay Ahlebait qayamat ka shore thaa
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Maqtal may so rahey thay shaheedaan-e-Karbala
Bey aasraa tha in may aseeraan-e-Karbala
Farsh-e-aza bana tha biyabaan-e-Karbala
Kya shaam thi woh shaam-e-ghareeban-e-Karbala
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Jab kar chukay Hussain ka chehlum aseer-e-gham
Dekha jo mehmiloun ko ronay lagay haram
Baar-e-gham-e-Hussain sey utt tha na tha qadam
Boli yeh sar ko peet ke Zainab ba chashm-e-namm
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Maatam se shaahey deen ka abhi jee nahin bharaa
Mausam gham-e-Hussain ka pal may guzar gayaa
Har lamha zindagi sey rahega yehi gilaa
Haq toh yeh hai ke hum se adaa haq na ho sakaa
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Ya Rab gham-e-Hussain malay hayaat ho
Yeh saans jab talak chalay seenay pay haath ho
Ashk-e-gham-e-Hussain hi raahey najaath ho
Lab par yehi fughaan rahey din ho ke raat ho
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Seenay pa daag-e-maatam-e-Shabbir hai ayaan
Chashm-e-aza sey hotha hai khoon-e-jigar ravaan
Jab takh fareed hai yeh zameen aur aasmaan
Hontoun pa taa ba hashr rahegi yehi fughaan
Ya Fatema Hussain ka pursaa qubool ho

Comments