Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain (Anjumane Al Abbas)

Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

Seh ke har ranj o bala, tune shikwa na kiya, tujh sa sabir na huwa,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Ran me jab mare gaye, Zainab e muztar ke pisar,
Dekh kar lashon ko yeh kehti thi binte Hyder) x2
Karti hu shukr e khuda, aur yeh hai meri dua, bhai bach jaye mera,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Qatl Abbas huwe toot gayi meri kamar,
Aur tanhayi ka shidat se huwa dil pa asar) x2
Aayi ran se jo sada, tune alaan kaha, aye imam e do sara,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Ran se awaaz jab aayi hai Ali Akber ki,
Yun laga jaise tere dil pa laagi hai barchi) x2
Noor aankhon ka gaya, soojta kuch bhi na tha, laise laasha utha,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Teer Asghar ke gale se jo nikala tune,
Haye kis dil se bhala dil ko sambhala tune) x2
Khoon chullu mein liya, aur chehre pe mala, surkhuru deen huwa,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Deen par waqt jab aya paye nusrath nikli,
Ran mein Quran e shahadat ki har aayat nikli) x2
Tera ghar baar luta, koi baaqi na bacha, milgayi deeen ko baqa,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Tune ashoor ko bachoun ka kiya hai matam,
Kaun batlayega jo tha tera dil ka aalam) x2
Aye shahensha huda, dekh kar haal tera, roti hai karbobala,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Na koi monis o yawar hai na koi hamdam,
Kufa o shaam ki rahoun mein hai be parda haram) x2
Koi baaqi na raha, karne imdaad zara, kaun aayega bhala,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Qatl par tere basas naala-o-afghan aayi,
Khoon me doobi howi shaame gharebaan aayi) x2
Maal-o-asbab luta, tera ghar jalta raha, roti hai aale abaa,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Baad tere yahi Zainab ne manazir dekhe,
Baazu rasi mein bandhe pusht pa dure bhi lage) x2
Har sitam dhaya gaya, taaziyane bhi laga, chin gayi sar se rida,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Haye maqtal se teri laash uthaayi na gayi,
Dil e Sajjad se yeh baat bhulaayi na gayi) x2
Sadma dil par woh huwa, yaad kar kar ke sada, tujhko rota hi raha,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Aayi darbaar mein jab aale rasool e dosara,
Saat sou krusi nasheeno se tha darbar bhara,) x2
Daaqela jab ke huwa, kya sitam tooth gaya, ek qayamat this bapa,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Tera lab hayi mubarak pa thi zalim ki chadi,
Haye kis dil se bahan ne yeh aziyat dekhi ) x2
Band aaknho ko kiya, jab ke yeh zulm howa, hil gayi arz o samaa,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

(Be sabab khaaye Sakina ne tamaache itne,
Phool se hogaye rukhsar bhi neele neele) x2
Tune aye shaahe khuda, noke naize se bhala, yeh bhi dekha toh hoga,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

Dil mein armaa tha Sakina ke joh ghar jaane ke,
Jab bhi zindaan ke darwaze se taayer guzre,
Puchti thi yeh sada, aye phupi bolo zara, honge kis waqt rehaa,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)

Noha yeh jab bhi padhe jaayega razvi-o-nazar,
Quld se denge duain tumhe sheh ki madar( x2
Khoob noha yeh kaha, zikr bekas ka kiya, roke pursa bhi diya,
Ya Hussain, Ya Hussain, Ya Hussain (x4)







Comments