Ye Hussain Maqtal Se Kiski Laash Laatey Hain

Kyon gulon ki khushbu se sara run mehakta hae
Pairahan moattar hae kya yeh koi dulha hae
Chaand sa haseen chehra dhoop mein chamakta hae
Aur lahu ki dhaaron ka uske ruq pah sehra hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Jab lagaayi thi mehndi usko pyari behna ne
Ma libaase nau lekar aayi usko pehnaane
Sab baraatiyon ke thay aansuon ke nazraane
Subah ki thi yeh baatein shaam ki Khuda jaane
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Tashnagi ke sehra mein aag si barasti hae
Boond boond paani ko zindagi tarasti hae
Tashnakaam dulha hae aur dulhan bhi pyaasi hae
Haaye kaisi shaadi hae har taraf udaasi hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Subha se kayi laashe leke aaye maidaan se
Par yeh laash laane ki shaan hi niraali hae
Ek abaa ke goshe mein jiski laash aajaye
Uske jisme athar par guzri kya Khuda jaane
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Run mein laash dulha ki qaak o qoon mein ghaltaan hae
Waan dulhan ke qaime mein hashr jaisa saamaan hae
Sar pah qaak daali hae maang uski veeraan hae
Bain uske sun sunkar ma ka dil pareshan hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Hogayi dulhan bewa sheh ka dil tadapta hae
Har nafas wohi manzar chashme nam mein rehta hae
Ghash mein umme Farwa hae aur dulhan ko sakta hae
Ab Raza qayamat hae aasmaan larazta hae
Ye Hussain maqtal se kiski laash laatey hain

Comments