Zanjeer Mein Jakde Huve Beemar Ka Maatam

Hum karte hain Karbal ke azadaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Woh khoon mein dooba huva Shabbir ka laasha
Bay goro kafan dhoop mein rethi pah pada tha
Manzar yeh jigar thaam ke Sajjad ne dekha
Har su hae bapa ab usi ghumkhaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Sajjad ne dekhe hain ajab dard ke manzar
Naizon ki bulandi pah shaheedon ke kate sar
Maa behne thi bazaaron mein be-maqnao chaadar
Shabbir ke maqsad ke madadgaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Paabande rasan hogayi Kubra ki kalaayi
Chaadar bhi na thi sar pah ghata zulm ki chaayi
Ek beva behan saath thi majboor tha bhaayi
Hae aaj usi bekaso naachar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Rassi mein bandha pyaasi Sakina ka gala tha
Kehti thi mujhe godh mein le lijiye bhaiya
Kis tarha se detey usey Sajjad dilaasa
Hae towqo salaasil ke giraftaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Aata kabhi jab saamne Sajjad ke paani
Yaad aati thi Asghar ki usey tashna dahaani
Tadpaati thi paiham Ali Akbar ki jawaani
Aao karen pyaason ke azadaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Jab poochta koi toh ajab hota tha kohraam
Tootey hain kahan sab se ziyaada ghamo aalaam
Dil thaam ke Sajjad kaha kartey thay ash-Shaam
Baazaar ka Zindaan ka darbaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Roye hain tere gham mein Ali aur Hassan bhi
Tadpe hain tere gham mein shahe tashna dahan bhi
Bechain huvi Fatema Sarvar ki behan bhi
Maatam hae tera Ahmad-e Mukhtaar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Mazloom ke hissey mein bhi Zehre sitam aaya
Ek hashr Rasheed ahle Madina mein tha barpa
Lo sogaya Islam ke zakhmon ka maseeha
Ashkon ki fizaaon mein hae beemar ka maatam
Zanjeer mein jakde huve beemar ka maatam

Comments