Baba Teri Sakina Har Zulm Seh Gayi Hai


baba teri sakina har zulm seh rahi hai
maa fatima zehra ki tasveer bann gayi hai

darvaza jal gaya tha tab fatima ke ghar ka,
ab khaimein jal rahe hai manzar wahi hai baba,
daman bhi jal gaya hai chader bhi chin chuki hai.
maa fatima zehra ki tasveer bann gayi hai

durre lagaye mujh par khaye hai taziyaneh,
dadi ki tarha mujhpar barsa gaye tamachay,
kal ka woh saneha tha rudad ye nayi hai.
maa fatima zehra ki tasveer bann gayi hai

dono hue yateem aaur dono ko baap ka gham,
dono ne zalimo se chup kar kiya hai matam,
dono kay gham mein duniya aansu baha rahi hai.
maa fatima zehra ki tasveer bann gayi hai

pehlu mein fatima kay mohsin ko maar dala,
haatho pe teray baba asghar ne teer khaya,
asghar ke khoo se khoshboo mohsin ki aa rahi hai.
maa fatima zehra ki tasveer bann gayi hai

zakhmi hai kaan meray zakhmi hai mera chehra,
balon se lag rahi hoon baba main ek zaieefa,
jo fatima pe guzri mujhpar guzar rahi hai.
maa fatima zahra ki tasveer bann gayi hai

main oont se zamee par rahon mein girr rahi hoon,
dadi kay dard ko mai apna bana chuki hoon,
meri bhi phasliyo se awaaz aa rahi hai.
maa fatima zehra ki tasveer bann gayi hai

hakim ne tab kiya tha taoheen syeda ki,
touheen yeh kar rahe hai baba ye abb tumhari,
woh sakht imtehan tha yeh sabr ki ghadi hai.
maa fatima zahra ki tasveer bann gayi hai

tarikh mein milega na koi kam sini mein,
bann jaye yu zaeefa ek din ki roshini mein,
bas aik fatima aur ek ladili teri hai.
maa fatima zahra ki tasveer bann gayi hai

darbaar e aam mein woh darbaar e aam me main,
zindaan e jaa me woh thi zindaan e shaam me main,
woh unki be-kasi thi ye meri be-basi hai.
maa fatima zahra ki tasveer bann gayi hai

guzri thi jabke zahra baba the tum bhi kamsin,
wirsay me main ne tumsay yeh dard paya lekin,
tab tum toh jee gaye thay beti yeh marr rahi hai.
maa fatima zahra ki tasveer bann gayi hai

kehta hai akhtari yeh sar peet kar raza se,
aao chale madina gham shaam ka sunanay,
rokar kahengay bibi kya zulm aaj bhi hai.
maa fatima zahra ki tasveer bann gayi hai





Comments

Post a Comment