Yaad Aaoge Bhaiya

hussain jaata hai marne ko ay meri zainab
khareeb aa gaya ab waqt e aakhri zainab
salam tumpe ay baba ki laadli zainab

zainab ne kaha kaun hai pardes may mera
kyun jaate ho tum chor ke bhaiya mujhe tanha

zainab ko har ek mod pe tadpayegi dunya
yaad aaoge bhaiya

baad aapke hoga meri ghurbat ka ye aalam
us waqt ghareebi bhi karegi mera matam
sadaat ko jab raah may dega koi sadqa
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

yaad aayega bhaiya mujhe armaan tumhara
tum dekh nahi paaye ho akbar ka jo sehra
dawaat koi shadi ki madine may jo dekha
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

is maah se mansooob thi bhaiya meri khushiyan
thi sab se badi eid meri teesri shaban
shaban ke jab chand ko dekhegi ye behna
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

itna tha khayaal aap ko parde ka baradar
le jaate thay tum raat ko amma ki lehad par
ab dekhegi zainab ke khule sar ko ye dunya
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

deedar bhi hojayega beti ke bahane
kya shaam ke zindan may aaoge sulaane
soyegi nahi jab meri lori se sakina
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

hota tha takallum yun juda bhai behan se
jis tarha koi rooh nikalti ho badan se
sheh ran ko chale kehti rahi saniye zehra
yaad aaoge bhaiya
zainab ko har ek mod....

Comments

  1. Hay meri Bibi ko satane walo pe laanat beshumaar laanat

    ReplyDelete

Post a Comment