Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza,
Zainab ka etebaar hai, yeh majlis e aza.
Buniyaan shahzadi ne rakhi thi jiski kal,
Sadiyon ke aasmaan pe jo chagaya woh pal,
Saari ibadaton me wahi khair hai amal,
Momin ka ifteqaar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Khanjar tale hai aakhri sajda Hussain ka,
Hoton pa deen e haq ke hai nauha Hussain ka,
Baqshish ki zimmedaar hai yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Har daur ka yazeed raha dushman e aza,
Khud mitgaya mitaa na saka zikr e Karbala,
Dushman pe haq ka waar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Zindan me mehve sajdaa woh beemaar e Karbala,
Woh bandagi ke bol utha mabood marhaba,
Mazool ka sheyaar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Ehsaas me woh sabr e Sakina liye howe,
Dil hai ek dard o gham ka dafeena liye howe,
Ek chashme ashkbaar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Larzish joh apni palko pe ashk e aza ki hai,
Taaseer inme johar e khaake shifa ka hai,
Har dard ka kharaar hai, yeh maljis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Majlis me chaar su hai wafadri ki fazaa,
Dars e wafa hai zikr e alamdaar e Karbala,
Har bewafa pe baar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Hurr ne diya hai saath samajh kar Hussain ka,
Har ek ke liye hai khula dar Hussain ka,
Har waqt ki pukaar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Auqaat e zulm haske jahaan ko dikha diya,
Naize pe chadke gardane baatil qalam kiyaa,
Asghar ki zulfeqaar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Karte hai hum shujaat e Akbar ka tazkera,
Qasim ka aur Aun o Mohammad ki jung ka,
Maidaan e karzaar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Parda ulat ke aayenge jab shah e behrobar,
Lenge Imam aate hi unlogo ki khabar,
Jin jin ko nagwar hai, yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Ghurbat me dashte zulm me maula howe shaheed,
Hind aane ki tadap dil e sarwar me thi shadeed,
Ashkon ka intezaar hai yeh majlis e aza,
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Karbal ki yaadgaar hai, yeh majlis e aza (×2)
Zainab ka etebaar hai, yeh majlis e aza.
Comments
Post a Comment