Ali Akber Ki Azaan

Akbar, Akbar..(2)

Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allah, Allahu Akbar


Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n

Akhri fajar hai yeh..(2)

is moaazin ke liye, phir yeh awaaz kaha'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Dasht mein pyaase moazzan ne, jo takbeer kahi

Aagayi apne musalle pe, Ali ki beti

Yaad phir aayi use, Apne Baba ki azaa'n

ro padi aun ki maa

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Abhi kuch der salamat hai, haram Ka parda

Sham ke waqt jab ayegi, azaano ki sadaa

Jaa'n bachane ke liye, sar chupane ke liye

chadarein hongi kaha'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Roke bete ne kaha baap se, hasrat hai meri

Aap ki behen to sun leingi, sadaa Akbar ki

In hawaon se kahein, rukh madine Ka karein

meri sughra hai waha'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Ash hadu anna mohammad ar rasoolallah


Naam aaya jo Mohammad ka, to roye maula

Inna lillah padha aur yeh ghazi se kaha

Is ko maarenge sinaa, yeh musalmaan bhala

rehem khayenge kaha'n 

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Ash hadu anna ameer al mo'mineena wa imam al muttaqeena

aliyun hujjatullah...


Aaya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha

Mai fida aap pe Baba meri aulaad fidaa

Teer Asghar ke lage, seena Akbar ka chide

mujh pe khanjar ho rawa'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Kitna tadpega Hussain ibn e Ali aye beta

Teri maa, teri phuphi, teri sakina, sughra

Jee nahi payeinge sabhi, tujh ko barchi Jo lagi

tujh mein hum sabki hai jaa'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Masjid e kufa nazar aane lagi karbobala

do azano pe bohot royi, hai bint e zehra

Aaj tak bhooli nahi, ek baba ki azaa'n

ek Akbar ki azaa'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Kis qadar dard mein doobi thi sadaa Akbar ki

gash se uth kar kaha Sajjad ne batlayein phuphi

Sub kyu rote hai yaha'n, shor hai kaisa bapaa

kaun deta hai azaa'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Kaise manzar ho bhala mir takallum ho raqam

baab e sa'at pe hui satra(17) azane jis dam

Sun ke ek-ek azaa'n, ro ke kehti thi wo maa

mere Akbar ho kaha'n

Subh e ashura hui, maa ne ro ro ke suni

Ali Akbar ki azaa'n


Allahu Akbar..


Comments