Karbala Mein Aapka Ghar Lut Gaya Haye Ali

Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×3)
Sar khule girya kuna hai, Fatima, haye Ali.
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×2) ~ x2

Saamne Aun o Muhammad, ke they lashey jis ghadi (×2)
Shukr ka sajda adaa Zainab waha karti rahi,
Aun o Mohammed (×3)
Bhai par beto, ko fidya kardiya haye Ali,
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×2)

Ran mein jab 13 baras ka, aaya ibne Mujtaba (×2)
Har taraf se zaalimo ne, milke yu hamla kiya,
Ya Qasim (×3)
Jism bhi paamal uska, kardiya haye Ali,
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×2)

Hum shabeehe Mustafa shabbir ka noore nazar (×2)
Dilbare Zainab tha woh Laila ka tha laqte jigar,
Ya Akbar (×3)
Jis ke seene, me sina ka, phal raha haye Ali,
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×2)

Jab shaheedo ke sarro ko, naizo par laaya gaya (×2)
Dekhne waalo ka dil bhi, dard se phatne laga,
Ya Asghar (×3)
Ek sar nanha sa naize, par chadha haye Ali,
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×2)

Jiski khaatir aapne khaliq se maangi thi dua (×2)
Baazu e shabbir woh Zainab ki dharas bawafa, 
Ya Abbas (×3)
Nehr par shaane kataa kar, sogaya haye Ali,
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×3)

Iss qadar pursa pidar ka, ek yateema ko mila (×2)
Shimr ke zulmo sitam bachi ko sab sehna padha,
Ya Sakina (×3)
Chin gaye us ke gohar kurta jala haye Ali,
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×3)

Sar barehna joh kabhi aayi na zeyre aasmaan (×2)
Lut gayi chadar howi be aas jheli sakhtiyaa,
Ya Zainab (×3)
Maangti thi, raah mein woh, ek rida haye Ali,
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×3)

Sunke Shahid ro rahe honge farishte ba khuda,
Goonjti hogi lahad mein, jab yeh awaaz e Aza,
Ya Abbas (×3)
Jaa rahi hogi Najaf tak, yeh sada haye Ali
Karbala me aapka ghar, lut gaya haye Ali (×3)

Comments