Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho

Uthhe hai haath khudaya isi dua ke liye 
Naseeb Ho Safar e ishq karbala ke liye

Karbala, karbala..(2)

Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho..(3)

Phir laut kar waha'n se..(2)
Na aana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho..(2)

Ankho'n ko jab bhi ashk bahana naseeb ho..(2)
Aale nabi ke ghum ka bahana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Aisa dar e Hussain pe sajda ho aakhri..(2)
Phir mujhko apna sar na uthana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Parwardigaar thokarein dar dar ki kab talak..(2)
Ab mustaqil Najaf mein thikana Naseeb ho
Phir laut kar waha'n se na aana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Jaisa mila naseeb se ummul baneen ko..(2)
Ab kya, ab kya..
ab kya kisi ko aisa gharana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Mehshar yeh arzoo hai ke, be ghuslo be kafan..(2)
Karbobala ki teh mei samaana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Aa'nsoo gire the baali sakina ke jis jagah..(2)
Apna waha'n pe khoon bahana naseeb ho
Phir laut kar waha'n se na aana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Ye kehke shaah nikle mazaar e Rasool se..(2)
Pardes mein Kafan mujhe Nana Naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Haaye,
Asghar hai mere haath bandhe kehti thi Rabab..(2)
Kaise tumhe gale se lagana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Mashkeeza leke Roza e Abbas ke Qareeb..(2)
Sab Zairo'n ko paani pilana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Ek sar burida laashe ne bacchi ko di dua..(2)
Zindaa'n se tujhko laut ke aana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Nazdeek e khaima gaah sakina ki yaad mein..(2)
Shaam e garibaa'n shamma jalana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Sajjad shaam tak yahi karte rahe dua..(2)
Chadar..
Chadar mujhe phupi ko udhana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Aye kaash phir se Mir takallum faraat par..(2) 
Mahdi..
Mahdi ko sheh ka nauha sunana naseeb ho..
Phir laut kar waha'n se na aana naseeb ho
Karbobala Naseeb se jaana Naseeb Ho

Karbala, Karbala, Karbala, Karbala, Karbala... Karbala..

Comments