Abbas Jald Aao Mar Jaayegi Sakina

Kab rak tamache khaye yeh gham zadaa Sakina,
Dooba hai behr e gham mein ab qalib ka safina,
Kehti hai aisa jeena, Amma hai koi jeena,
Abbas jald aao, mar jaayegi Sakina.

Ek shamma bhi nahi hai Zainab jise jalaaye,
Zindaan mein meri bachi qamosh ho na jaaye, 
Sahil pa sone waale aaja ke chain aaye,
Abbas jald aao, mar jaayegi Sakina.

Masoom ka gala bhi baandha gaya rasan se. 
Takleef kaise dekhi jaye teri bahan se, 
Hota hai shor e irya Zainab ke is suqan se, 
Abbas jald aao, mar jaayegi Sakina.

Kis tarha main bataoon kya haal hai hamara,
Deta hai shimr eeza roti hai be sahara,
Masoom ke labon par bas naam hai tumhara,
Abbas jald aao, mar jaayegi Sakina.

Sahil pa kaise guzri Abbas kya howa hai,
Bachi tadap rahi hai bus dum ruka howa hai,
Ek mashk pani le ke aane mein deyr kya hai,
Abbas jald aao, mar jaayegi Sakina.

Maara gaya hai bhai Abbas tum na aaye,
Shaam e ghareeban aayi Abbas tum na aaye,
Yeh zulm yeh tabahi Abbas tum na aaye,
Abbas jald aao, mar jaayegi Sakina.

Rota hai bekasi par ab yeh bekasi ka aalam,
Kuch maut se nahi kam yeh zindagi ka aalam,
Kaano ke zakhm bhi hai aur tashnagi ka aalam,
Abbas jald aao, mar jaayegi Sakina.


Comments