Baba Bohot Andhera Hai, Darr Lagta Hai

Baba bohot andhera hai, darr lagta hai,
Zindaan mein ab ab basera hai, darr lagta hai.

Koi nahi thikaana, apna qayam ka, darr lagta hai,
Hota hai ab shuru, safar bazar e shaam ka, darr lagta hai,
Oonton ki nangi pusht par, humko bithata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Shimr e layeen dikhata hai, khanjar joh baar baar, darr lagta hai,
Durre tamaache maarta mujhko yeh khoon khaar, darr lagta hai,
Hadh hogayi sitam ki, kurta jalata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Sab ke gale mein hai rasan, sab se main choti hoon, darr lagta hai,
Dukhta hai gala is liye, panjo pa chalti hoon, darr lagta hai,
Beyti pa aapki taraz koi na khaata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Kaano se mere shimr ne, cheene hain baaliya, darr lagta hai,
Bheta hai khoon kaano se, sehmi hai bibiyaan, darr lagta hai,
Ghabra ke kaampti hoon, woh muskurata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Sab sar barhena bibiyaa, darbaar mein khadi, darr lagta hai,
Chehere chupaaye baalo se, hai sabr ki ghadi, darr lagta hai,
Bebas gharaana aapka, aansu bahata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Na aap na chacha hai na, bhaiya Ali Akbar, darr lagta hai,
Gardan mein touq bhai ke, phoopiyaa hai khule sar, darr lagta hai,
Darbar mein yazeed ab, humko bulaata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Beemaar bhai par sitam, karta hai sitamgar, darr lagta hai,
Girta hai lahu pusht se, Abid ka zameen par, darr lagta hai,
Pehna ke touq bediyaa, kodhey lagata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Besharm karta jaata hai, ghustaaki aap se, darr lagta hai,
Zaalim chaddi se maarta, honton pa aapke, darr lagta hai,
Sar aap ka bata kar, hum ko rulata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Seena pa aapke mujhe, kuch deyr sulaalo, darr lagta hai,
Aaghosh mein le lo mujhe, godi mein sulaalo, darr lagta hai,
Dil yaad karne aapko beychain rehta hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Har soo andhera chaya hai, zindan hai darona, darr lagta hai,
Shiddat ki pyaas se meri, sookhi hai haddiya, darr lagta hai,
Kab jaayenge watan ko, ghar yaad aata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Baba tumhari ladli, har zulm seh chuki, darr lagta hai,
Kha kha ke taaziyaane zaqmi, bhi ho chuki dar lagta, 
Rukhti hai meri saansein, dum mera jaata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Waqt e qaza Sakina ke, honto pa tha bayaan, darr lagta hai,
Sunlo waseeyatein meri, aao phupi amma, darr lagta hai,
Jaati hoon ab lahad mein, baba bulata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Jitni azeeyatein sahi, kehti hai yeh Mehdi, darr lagta hai,
Ro ro ke har sitam par, Baba ko sada di, darr lagta hai,
Bekas ka gham Ali Jaan, padhkar sunata hai,
Baba bohot andhera hai, darr lagta hai (x2).

Comments