Berida Hoke Payamber Ke Gharane Wale

Berida hoke Payamber ke gharane wale,
Aj darbaar mein zalim ke hain aane wale.

Sar barehna sare darbaar chali hai Zainab, 
Zainab Zainab Zainab Zainab
Sar khule aj rahein sog manane wale.

Bediyan thame hue aage hain Sajjad hazin,
Zainab Zainab Zainab Zainab,
Piche piche hai Payamber ke gharane wale.

Qatl waris hue bazaar mein tasheer hue, 
Zainab Zainab Zainab Zainab,
Ab bhi thakte nahi bewon ko satane wale.

Qud chali ayegi tham tham ke na kar itni jafa, 
Zainab Zainab Zainab Zainab,
Sehliyan bali Sakina ko lagane wale

Sar khule samne zalim ke Sakina jao, 
Zainab Zainab Zainab Zainab,
Margaye ap ke sab naaz uthane wale..

Damane Aale Aba chut na jaye Sadiq,
Zainab Zainab Zainab Zainab,
Yeh hai mata ko saree banane wale.

Comments