Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada

Chaahe badal bhi jaaye zamane ki yeh faza, 
Ta hashr ruk sakega na, matam ka silsila,
Mit na sakegi dil se gham e shaah e Karbala, 
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Chaahe zamana hum ko chadaaye saleeb par,
Aane na denge harf Hussain e ghareeb par,
Jaam e sitam ko apne lahoo se bharenge hum,
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Kab tak rahegi zulm ki himmat tumhare paas, 
Kab tak rahegi zor e hukoomat tumhare paas, 
Is gham se inqelaab utha kar rahenge hum,
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Matam ko rokna ho toh haatho ko kaat lo, 
Awaaz e haq dabao zubano ko kaat lo,
Dil mein gham e Hussain manate rahenge hum,
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Munh apna pherte hai savere toh kya howa,
Kuch aur badh gaye hai andhere to kya howa,
Misle chiraagh tera shabi mein jalaayenge hum,
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Jab tak rahegi saans yahi gham manaayenge, 
Har daur mein Hussain pa aansu bahaayenge, 
Jeete rahenge aur isi mein marenge hum,
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Hum ko kahan hai fikr yeh marzi khuda ki hai,
Saaya Imam ka hai dua Fatima hi hai,
Abbas ka Alam liye badhte rahenge hum,
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Hum ko nawaz touq e salasil ka qauf ka kya,
maqtal mein jee rahe hai toh qaatil ka qauf kya, 
Mimbar nahi toh daar pe noha padhenge hum,
Deti Rahegi Anjuman e Hyderi Sada,
Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas, Ya Abbas.

Comments