Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

Sitam Ka Jisko Khiraj Bhi Hai

Usi Ka Sadiyo Pe Raaj Bhi Hai

Na Taqth Baqi Na Taj Bhi Hai

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Hai Abhi Baqi Humara Rehbar

Yeh Saf Bas Af Hai Ussi Ka Lashkar

Sada Yeh Matam Ki Hai Barabar

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Hussain Deen E Khuda Ka Mehwar,

Sada Ye Quran Ki Hai Barabar

Shaheed Marta Nahi Hai Markar

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Wohi Namaze Wohi Hai Roza,

Wohi Hai Quran Wohi Hai Kaba

Bata Raha Hai Wajood Inka

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Lahoo Mein Jinke Yazeediyth Hai,

Wohi Hai Dushman Azaa Es Heh Ke

Yeh Kam Nasab Kya Mita Sakenge

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Hai Jiske Khoon Se Shafakh Ki Surkhi

Usi Ke Qabze Mein Hai Khudai

Yeh Denge Chashme Falakh Gawahi

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Hamara Karbobala Se Rishta,

Sada Raha Hai Sada Rahega

Mita Sakana Na Mitane Wala

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Sabeel E Ibne Ali Hai Jari,

Jo Tashnalab Hai Woh Peele Pani

Suno Yeh Hoor Ki  Sadahai Abbhi

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Na Shaam O Kufa Na Rai Ki Daulath,

Magar Hai Karbobala Salamath

Yeh Denge Kaun O Maka Shahadath

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Nabuwaton Ka Kafeel Bankar

Jahan Mein Naaze Khaleel Bankar

Baqay Haq  Kidaleel Bankar

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Fareed Hoga Who Kaisa Manzar

Khuda Kahega Jo Roze Mehshar

Na Bach Sakega Koi Sitamgar

Hussain Kal Bhi They Aaj Bhi Hai

 

Comments