Islam Ko Sholon Se Bacha Legayi Zainab

Basti Se Sitam Garon Ki Kya Legayi Zainab
Har Ghum Ko Kaleje Se Laga Le Gayi Zainab 
Kya Layi Thi Kya Karbobala Legayi Zainab 
Islam Ko Sholon Se Bacha Legayi Zainab 

Abbas Ka Parcham Ho Ke Besheer Ka Ghula 
Jo Azmat E Islam Ka Baqi Tha Assasa 
Jalte Huwe Qaimo Se Utha Legayi Zainab
 Islam Ko Sholon Se Bacha Legayi Zainab 

 Naize Ki Anni Aur Wo Akber Ka Kaleja 
Wo Qasam E Noushah Ka Rouda Huwa Lasha 
Maqtal Se Yeh Manzar Bhi Utha Legayi Zainab 
Islam Ko Sholon Se Bacha Legayi Zainab 


Gham Aun O Mohd Ka Liye Saniye Zehra 
Ujhdi Huwi Har Goud Ko Dede Ke Dilasa 
Maqtal Se Kisi Tarha Mana Legayi Zainab 
Islam Ko Sholon Se Bacha Legayi Zainab 


Jab Chagayi Har Simth Ujalo Pe Andhere 
Teghoun Se Senaon Se Har Ek Zulm O Sitam Se 
Abeid Ko Bachana Tha Bacha Legayi Zainab 
Islam Ko Sholon Se Bacha Legayi Zainab 


Duron Ke Nasha Dagh E Rasan Bhai Ka Kurta 
Wo Shaam Ka Darbar Wo Zindan Ka Andhera 
Hum Raha Yeh Saaman E Aza Legayi Zainab
Islam Ko Sholon Se Bacha Legayi Zainab 

Yeh Gham Hai Fareed Aaj Bhi Zainab Ki Amanat
Jo Seh Ke Har Ek Gaam Musibat Pe Musibat
Shabbir Ke Maqsad Ko Bacha Legayi Zainab
ISLAM KO SHOLON SE BACHA LEGAYI ZAINAB 



Comments