Laut Aao Baba

Shikwe karungi aakhon se aansu bahaungi,
Baba ko yeh phata howa kurta dikhaungi,
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Kehti hai rokar Fatima Sughra, laut aao baba,
Mushkil hai ab mera jeena (×2) laut aao baba.

Qasim o Akbar Aun o Mohammad paas nahi mere,
Kisko sada doon ab toh chacha Abbas nahi mere,
Aap ki beti hogayi tanha (×2) 
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Raah tumhari karti hu main aye Akbar bhaiya,
Kehke gaye the aaunga lene main tumko behna,
Bhool gaye woh apna wada (×2)
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Mere bhaiya Akbar ki shaadi toh rachi hogi,
Farte khushi se meri amma jhoom rahi hogi,
Dekhlo main dukhan ka chehra (×2)
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Reh reh ke tadaptahai mujhko Asghar ka hasna,
Meri taraf seaaknho ko uski ek bosa lena,
Kiska jhulaun ab main jhoola (×2)
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Pehni hogi meri behna kaano mein gohar,
Noor nirala hoga yaqeenan uske gaalo par,
Kaisi hai ab meri Sakina (×2)
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Jab se gaye ho aaj talak kuch bhi na khabar aayi,
Hoti hai mere dil mein khatak kuch bhi na khabar aayi,
Hota hai ab dil ko dhadka (×2)
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Suna hai kaaba suni hai masjid mimbar bhi suna,
Aap ke bin suna hai madina aur ghar bhi suna,
Charo taraf hai ab sannata,
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Rab jaane kyu mujhko khayal aata hai yeh askar,
Khair ho phupiyo ke parde ki hai yeh dua lab par,
Haal hai kaisa mere chacha ka (×2)
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Tadapta hai baba mujhko gham tanhaayi ka,
Khoon rulata hai ab mujhko dard judaayi ka,
Tha yeh nazar dukhiya ka nauha (×2)
Laut aao baba, laut aao baba, laut aao baba.

Comments