Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Maa se apne jhoole mein keh rahe hai yeh Asghar,
Teer khake maidaan mein deen e haq bachana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Shukr karke khaliq ka keh rahe hai yeh sarwar,
laash e Ali Akbar mujh ko ab uthana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Fauj se kahe Abbas ek vaar hai kafi,
Par mujhe Sakina ki tashnagi bhujana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Qatl hogaye Abbas, re rida howi Zainab,
Shimr ke Sakina ko ab tamaache khaana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Roke kehti thi Zainab natavaan Abid se,
Ek choti si mayyat tum ko hi uthaana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Dil mein hai ziyarat ki sab ko qwaish e Shabbir,
Padhte padhte yeh noha, KIarbala ko jaana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Hyderi jawaano ka aarzoo hai nus itni,
Karte larte yeh matam is jahaan se jaana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Aye farishto shaida se hoshiyaar rehna tum,
Zikr e sarwar e aalam, tum ko bhi sunana hai,
Milke sab karein matam, milke gham manana hai,
Fatima ko mehshar mein, jaake muh dukhaana hai
Comments
Post a Comment