Na Kar Qubool Madine Hamare Aane Ko

mat kar hume qubool ae nana ke madine

madina aagaya jab yeh sada ubhar ne lagi
yeh pushte naqa se kulsoom bain karne lagi
loota ke aaye hai zehra ke hum gharane ko

are na kar qubool madine humare aane ko
loota ke aaye hai zehra ke hum gharane ko
na kar qubool madine humare aane ko x2

bataye kaise jo hum par guzar gaya mehshar
sare hussain
tadapta tha noke naiza par
har ek shehar me maare gaye hume pathar
humare chehro ki janib thi shamiyo ki nazar
na haath bhi the yeh azaad muh chupane ko
na kar qubool madine humare aane ko x2

bichhad ke apni behen se dobara milna saki
woh dil me le gayi hasrat madine aane ki
musibato ke andhero me chal basi bachi
hume rehayi mili woh hai aaj bhi qaidi
basa liya hai sakina ne qaid khane ko
na kar qubool madine humare aane ko

madina loot gayi sarkar tere waali ki
mere hussain ke sukhe gale pe tegh chali
bacha na abide bimaar ke siwa koi
humari godiya pardes me hui khali
kadam uthaaye nahi jaate ghar me jaane ko
na kar qubool madine humare aane ko

gali gali me phiraya gaya gareebo ko
kadam kadam pe rulaya gaya gareebo ko
bichake kaante chalaya gaya gareebo ko
tamashbino me laya gaya gareebo ko
sawaab samjha gaya hai hume sataane ko
na kar qubool madine humare aane ko

tarha tarha se sitamgar hume saza dete
woh taaziyano ki beemar ko dawa dete
uthake saaye se woh dhoop me bitha dete
garibe zehra ka pursa bhala woh kya dete
na aaya koi rida bhi hume udhaane ko
na kar qubool madine humare aane ko

na likh sakega Takallum sama woh tera kalam
the gird ahle madina ajeeb tha aalam
yeh kehke naako se utre siyah posh haram
yahan pe chain se hoga hussain ka matam
taras gaye the hum ashke azaa bahane ko
na kar qubool madine humare aane ko

Comments