Tooti Hai Kamar Kaise Bataoon Ali Akbar

Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2
Main kaise teri laash, (uthaoon Ali Akbar)×2


Saber ne kaha qabr me gar izn ataa ho,
Main aapko yeh noha (sunaoon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Uth the hi nahi mere qadam khaimon ke janib,
Zainab se tujhe kaise (milaoon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Abbas ke baazu bhi qalam hogaye ran mein,
Ab kisko madad karne (bulaoon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Zaqmi tera seena toh pidar dekh raha hai,
Main apna jigar kisko (dikhaoon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Aankhon se dikhaayi nahi deta hai pidar ko,
Mayyath teri lekar kaha (jaoon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Mannat toh teri paalne waali ki badhaoon,
Sehra tere laashe pe (sajaoon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Yeh haal tera dekh ke marjaaye na bano,
Main kaise tera zaqm (chupaaon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Bete ko kafa dena fareeza hai pidar ka,
Yeh qarz magar kaise (chukaoon Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2

Sheh bole takallum zara beemaar se mil lo,
Kis haal me Sughra hai (dikhaun Ali Akbar)×2
Tooti hai kamar kaise, (bataoon Ali Akbar)×2 

Comments