Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab
Har Simt Se Maa Jaaya Tera Ghir Gaya Zainab

Tum Janti Ho Khaime Me Ab Koi Nahi Hai
Behna Meri Behna
Abbas Nahi Qasim-O-Akbar Bhi Nahi Hai
Behna Meri Behna
Besheer Ki Mayyat Bhi Mai Dafna Chuka Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Kis Tarha Sambhale Dile Bechain Ko Laila
Behna Meri Behna
Woh Bhool Nahi Payegi Akbar Ka Kaleja
Behna Meri Behna
Uske Dil-E-Muztar Ko Bhi Do Hausla Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Besheer Ki Maa Baithi Hai Jhoole Ko Sambhale
Behna Meri Behna
Sab Loriya'n Chup Hogayi'n Hotou'n Pe Hain Naale
Behna Meri Behna
Chehre Pe Mere Khoon Hai Besheer Ka Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Ab Sookhe Gale Par Mere Chal Jayega Khanjar
Behna Meri Behna
Le Janaa Hai Sajjad Ko Sholou'n Se Bachakar
Behna Meri Behna
Ab Zulm Ka Andaaz Badal Jayega Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Beenayi Meri Legaye Sab Ghar Ke Ujaale
Behna Meri Behna
Ab Khaak Pe Sote Hain Meri Godh Ke Paale
Behna Meri Behna
Yeh Dekhte Hi Dekhte Kya Hogaya Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Hojayenge Ab Zulm Ke Andaaz Niraale
Behna Meri Behna
Jo Reh Gaye Khaime Me Woh Hain Tere Hawale
Behna Meri Behna
Ab Farz Ada Karna Hai Abbas Ka Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Jal Jayenge Khaime Toh Bikhar Jayenge Bache
Behna Meri Behna
Ek Jaa'n Tumhe Karne Hain Yeh Tasbeeh Ke Daane
Behna Meri Behna
Maqtal Me Nikalna Hai Tujhe Berida Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Aada Mere Bachi Pe Bohat Zulm Karenge
Behna Meri Behna
Mazlooma Ko Masooma Ko Marenge Tamache
Behna Meri Behna
Hai Sakht Masayeb Ka Tumhe Saamna Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Bikhre Huve Sab Khoo'n Bhare Manzar Hai Nazar Me
Behna Meri Behna
Rukta Hi Nahi Fikr Ka Taa'er Hai Safar Me
Behna Meri Behna
Maange Hai Rasheed Aapse Ab Hausla Zainab
Marne Ke Liye Jaata Hai Bhai Tera Zainab

Comments