Ab Ghar Ko Chalo Khaak Se Utho Ali Akbar

pahunchay jo hussain ibne ali laashe pisar par
wo haal nazar aaya churi chal gayi dil par
ye kehke zameen par giray bete ke barabar
aaya hai pidar hosh may aao ali akbar
ab ghar ko chalo....

zaalim koi bekas ko batata na tha rasta
chaaya tha nigahon may andhera hi andhera
aaya hai pidar paas tere thokare khaata
aankhon ko hua kya meri poocho ali akbar
ab ghar ko chalo....

kyun paon ragadte ho kahan dard utha hai
batlao meri jaan mera dil baith raha hai
kyun haath hai seene pa kahan zakhm laga hai
phat jayega dil baap ka bolo ali akbar
ab ghar ko chalo....

noha hai labon par hai lahoo aankhon se jaari
hum kab se khade rote hai baali pa tumhari
khaya na taras tumne ghareebi pa hamari
dil baap ka is tarha na todo ali akbar
ab ghar ko chalo....

ab dayr jo ki tumne to karti hui zaari
be-parda behan behan aayegi maqtal may hamari
madar kahain marjaye na sadme se tumhari
baba bhi nahi jeene ke sunlo ali akbar
ab ghar ko chalo....

ay laal tasavvur may tha maa ke tera sehra
hai dayr se darwaza-e-qaima pe wo dukhiya
kya jaake bataun jo hua haal tumhara
laila se kahun kya ye batao ali akbar
ab ghar ko chalo....

Comments