Koun o Makan Me Barpa Matam Hai Fatima Ka

Maghmoom Hain Fazaye'n Rota Hai Zarra Zarra  

Bechain Hain Hawayen Aur Kar Rahi Hain Girya  

Har Simt Hai Udasi Har Simt Hai Andhera  
Chashme Falak Hai Purnam Weera'n Hua Madina  
Koun-O-Maka'n Me Barpa Matam Hai Fatima Ka  
 
Baade Rasool-E-Akram Kya Waqt Aapada Tha  
Har Lamha The Masayeb Dil Tukdey Horaha Tha  
Athara Saal Ka Sinn Aur Hath Me Asa Tha  
In Aafatoun Me Jeena Zehra Ka Housla Tha  
Koun-O-Maka'n Me Barpa Matam Hai Fatima Ka  
 
Sehti Rahi Masibat Paiham Nabi Ki Beti 
Karti Thi Sabr Har Damm Mazloom Shahzadi  
Pehlo Shikasta Bibi Khud Peesti Thi 
Chakki Duniya Se Jarahi Hai Khidmat Me Mustafa Ki  
Koun-O-Maka'n Me Barpa Matam Hai Fatima Ka  
 
Ghurbat Ka Hai Zamana Kaisi Ye Bekasi Hai  
Moula-E-Dojaha'n Per Uftaad Ye Nayi Hai  
Mushkil Kusha Pa Kaisi Mushkil Ki Ye Ghadi Hai  
Tanhayi Murtuza Ki Aansoo Baha Rahi Hai  
Koun-O-Maka'n Me Barpa Matam Hai Fatima Ka  
 
Dekha Janaza Maa Ka Roey Hussain-E-Muztar  
Aayi Sadaye Zehra Ye Maa Nisar Tujh Per  
Rona Tera Gawarah Kaise Karegi Madar  
Seene Se Main Lagaloon Aaja Hussain Dilbar  
Koun-O-Maka'n Me Barpa Matam Hai Fatima Ka  
 
Zehra Ka Tou Janaza Tareeq Shab Me Utha  
Yaad Aate Hain Rasheed Ab Bazare Shaam-O-Kufa  
Wo Betiyaan Ali Ki Be Chadari Ka Charcha 
Wo Aalame Asiri Wo Oont Be Kajawa 
Koun-O-Maka'n Me Barpa Matam Hai Fatima Ka 

 
 

Comments