Rehayee Qaid Se Zainab Ko Jab Mili Hogi

Rehayee qaid say Zainab(s.a.) ko jab mile ho gi
Bina Hussain(a.s.) kay woh kaisay ghar gaye hoo gaye

Aye Nana Tayray Nawasay ko tayri ummat nay
Daffan kiya hai na uryian hi ban mein chor diya

Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.),
Hussain(a.s.) Badshah, Hussain(a.s.) shahenshah
Hussain(a.s.) deen hai, Hussain(a.s.) dein pannah,
Shaheed-e-karbala, Zabihay nainwa,
Bay zuram-o-bay khata, Hay tayra ghar luta
Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.)

Daffan kiya hai na uryian hi ban mein chor diya
Batoolzadi(s.a.) yehi baat sochti hoo gi

Lutien thi dasht mein jo chadarien Saydaniyoon(s.a.) ki
lotayein Abid-e-Beemar(a.s.) ko layeenoon nay

Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.)
Beemar-e-karbala, Aseer-e-baykhata
tumhara qafla, jo tha luta howa
pahan kay bayriyaan, jidhar bhi tu gaya
woh raasta jo tha laho laho howa
na jaanay kis tarhaan, yeh tu nay seh liya
woh Zainab(s.a.)-e-hazeen, ka sar khula howa
phir is kay baad tu, hai jab talak jiya
tumhari aankh say, sada hai khoon baha
Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.) haaye Sajjad(a.s.)!

lotayein Abid-e-Beemar(a.s.) ko layeenoon nay
Ali(a.s.) ki Laadli hasrat say daykhti ho gi

Woh chay(6) maah kay bachay ko teer maara tha
Woh Sheer khawar ka laasha sina pay aaya tha

Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.)
Sagheer(a.s.)-e-Karbala, Aye Kushta-e-jaffa
kisi ki dushmani, hai tum say kiya bhala
tumhara sin abhi, nahin hai jang ka
qaza ka teer hai, badast-e-hurmala
tumhara phool say, bhi narm hay gala
Rubab(s.a.) kis tarhaan, karay gi hosla
Khudara hosla, na maa ka aazma
Hussain(a.s.) per yehi, to waqt hai karra
laho Sagheer(a.s.) ka, moh pe mal liya
Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.) Haaye Sagheer(a.s.)!

Woh Sheer khawar ka laasha seenay pay laaya tha
Batool(s.a.) lahad mein moh apna peet-ti ho gi

Parray thay Laashay jawaanoon kay dasht-e-Karbal mein
parra tha Ghazi(a.s.) ka laasha bagheer shanoon kay

Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.)
Abbas(a.s.) bawafa, Abbas(a.s.) basafa
hay tu pala howa, Ali(a.s.) ki goud ka
Abbas(a.s.) Moajazza, hai tu Batool(s.a.) ka
Abbas(a.s.) ek naya, hai pesh marhala
Hai Zainab(s.a.) bayrida, safar hai Sham ka
Hain Shami bay haya, Wa Museebata!
Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.) Haaye Abbas(a.s.)!

parra tha Ghazi(a.s.) ka Laasha bagheer shanoon kay(sadqay)
Jawan bhai kay shanoon ko dhondhti ho gi(sadqay Shahzadi)

Gaya tha qafla maqtal mein Aale-Ahmed(a.s.) ka
Dhoonda hai dasht mein har Bibi(s.a.) nay apnay pyaroon ko

Jawan haaye jawaan,
Shabih-e-Mustafa(saw), Wazir-e-Murtaza(a.s.)
Athara(18) saal tek, tu burqay mein palla
Phophi nay naaaz say, tujhay jawaan kiya
Khuda(swt) kay waastay, Abhi na ran mein ja
Hussain(a.s.) kis tarhaan, yeh daykh paayay ga
Jawaan ka jigar, sina ka totna
Hai tayra rasta
Jawan haaye jawaan haaye jawaan haaye jawaan!

Dhoonda hai dasht mein har Bibi(s.a.) nay apnay pyaroon ko
Karakti Dhoop mein ro ro kay dhondti ho gi

Gaye thi sath tumharay Sakina(s.a.) Karbal mein
Kahan hai bhayyia mujhay nazar nahin aati

Hussain(a.s.) Ya Hussain(a.s.), Hussain(a.s.) Badshah
Hussain(a.s.) Shahenshah, Hussain(a.s.) Baywatan
Hussain(a.s.) Baykafan, jo sar ser-e-sinah
to reet peh badan, luta hai dast mein
Batool(s.a.) ka chaman
Beemar Sughra yeh Abid(a.s.) say poochti ho gi

Sunni jo bali Sakina(s.a.) nay khabar yeh Akhtar
keh sab chalay hain mujhay chor ker Madinay ko
Masooma(s.a.) kabr mein tanha hi ro rahi ho gi

Comments