Akbar Mere Akbar (Anjuman e Hyderia)

Laila ke dil o jaan ho beta mera dilbar, Akbar Mere Akbar,
Marne se tere hogaya barbaad mera ghar, Akbar Mere Akbar.

Tum izne wigha leke joh, maqtal ko sidhaare,
Ek baap ko is haal mein, tum chor kar gaye,
Ab laash tumhaari main chalun kaise utha kar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Aaja ke tere seene pe, bosa loon main ek baar,
Dil chaak chaak hota hai, rota hoon zaar zaar,
Tadpa na abhi baap ko pardes mein aakar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Mudh mudh ke mujhe jaate, howe dekhte rehna,
Nazron se meri tum zara nazrein bhi milana,
Ji bhar ke tumhe dekh le main aur teri maadar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Tum shauq e shahadat me, gaye ran me khushi se,
Ruqsat ka asar poochlo maa baap ke dil se,
Khanjar hazaar chal gaye hum dono ke dil par,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Ek baap se bete ki judaayi ka yeh aalam,
Maa aur phoopi ke liye kitna hai bada gham,
Sughra ko bhala kaise sunaayenge yeh jaakar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Main aaj suna jab teri woh aakhri azaa,
Yaad aayi mujhe Hyder e Karaar ki azaa,
Dono ki azaano mein tha ek hashr ka manzar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Chehre ko dekh kar teri yaad aate the nana,
Baba tere qurbaan ho aye Yusuf e Laila,
Aye mere jawaa mere ham shakl e Payambar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Kuch deyr mein lut jaayega apna yeh bhara ghar,
Qaime bhi jalenge joh qalam hoga mera sar,
Hadd hai ke na bach paayega mera Ali Asghar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Aye kaash main mar jaata tujhe khone se pehle,
Aye kaash yeh zaalim tujhe paani toh pilaate,
Afsos sitamgar ne kiya khoon se gala tar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Awaaz e aza goonji joh maqtal ki fiza mein,
Jinno malaik the ghamzada Akbar ki aza mein,
Qaimo mein saare bibiya kehne lage rokar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Akbar ke paas pohonche jab shahe mashraqain,
Seene mein sina dekh kar ghash khaagaye Hussain,
Yeh Akhtari kehte the jigar thaam ke sarwar,
Akbar Mere Akbar, Akbar Mere Akbar.

Comments