Aye Paalne Waale Mere (Anjuman e Masoomeen)

baba ko bachale mere baba ko bachale
ashoor ki shab kehti thi ro ro ke sakina
baba ko bachale

tu maalik o mukhtar hai sunle mere naale
baba ko bachale

ay paalne wale mere baba ko bachale

baba ke bina neend nahi aayegi pal bhar
ho jaungi muztar
ay khaaliqe akbar mujhe dunya se uthaale
baba ko bachale

kal suboh ko tootegi musibat pe musibat
aayegi qayamat
haathon may adoo ke hai chamakte hue bhaale
baba ko bachale

ek sar ke liye aaye hai laakhon sitam [ejaad]
ho jayegi bedaad
sehme hue hai aaj ki shab naazon ke paale
baba ko bachale

har qaimay may jaati hai tadap kar phupi amma
hai sakht pareshan
kal khaak may mil jaayenge aaghosh ke paale
baba ko bachale

qaimo may udaasi hai dhadakta hai mera dil
hai zindagi mushkil
kal honge juda mujhse mere chaahne wale
baba ko bachale

mar jayenge kal mere chacha aur bhaiya
koi na bachega
is gham ke talatum may mujhe kaun sambhale
baba ko bachale

sad haif ye kehti thi kaleem dukhtare shabbir
bhai mera baysheer
ho jayega kal teer e sitamgar ke hawale
baba ko bachale

Comments