Bhai Ko Ab Vida Karo Zainab (Anjuman e Hyderia)

Bhai ko ab vida karo Zainab,
Farz maa ka adaa karo Zainab.

Lutgaya zindagi ka sarmaya,
Doonga sar maine tha kiya waada,
Run mein karna hai aakhri sajda,
Shukr e Khaaliq adaa karo Zainab,
Bhai ko ab vida karo Zainab.

Dil ke yun tukdey hote dekha hai,
Laashe Qasim bikharte dekha hai,
Naujawan ko tadapte dekha hai,
Mere dukh ki dawa karo Zainab,
Bhai ko ab vida karo Zainab.

Aada qaimo ko jab jalaayenge,
Bache dehshat se kaamp jaayenge,
Roye to taaziyaane khaayenge,
Tum dilaasa diya karo Zainab,
Bhai ko ab vida karo Zainab.

Sar se chadar layeen cheenenge,
Baazuo mein rasan bhi baandhenge,
Dar badar be-rida phirayenge,
Sabr tum karliya karo Zainab,
Bhai ko ab vida karo Zainab.

Tumko dunya mein hai abhi rehna,
Aye bahan jab namaaz e shab padhna,
Mujhko bhi yaad karliya karna,
Haq mein mere dua karo Zainab,
Bhai ko ab vida karo Zainab.

Jab Sakina tamaachey khaayegi,
Yaad meri usse satayegi,
Mujhko maqtal mein jaake dhundegi,
Tum hifazat kiya karo Zainab,
Bhai ko ab vida karo Zainab.

Yeh joh zaamin hai shayar e Shabbir,
Iske nauho ko baksh doh taaseer,
Aaj ban jaye iski bhi taqdeer,
Fikr aisi aata karo Zainab,
Bhai ko ab vida karo Zainab.

Comments