Bhaiyya Tere Chehlum Ke Liye Aayi Hai Zainab

Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab,
Dukh paayi hai, dukh paayi hai, dukha paayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab.

Zindan mein lahad baali Sakina ki bana kar,
Bhai ki amaanat ko tahe khaak chuppa kar,
Saath apne lute qafele ko laayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab.

Maajaaye ke marqad pa hai dukhiya ka yeh noha, 
Aayi hai behen milne ko, uttho mere bhaiya,
Bin tere har ek gaam pe, dukh paayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab.

Bhaiya tumhi batlaao watan jaake karu kya,
Sughra tumhe poochegi toh bolo main kahu kya, 
Jao bhi yeh khayal aaya hai ghabrayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab.

Be maqna o chadar gayi bazaaro mein bhaiyya,
Darbaar e yazeedi mein gayi dukhtar e Zehra,
Tha hukm joh tera woh baja laayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab. 

Har toote howe dil ko sahara bhi diya hai,
Har dard mein kunbe ko dilasa bhi diya hai,
Har haal mein har bibi ko samjhaayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab.

Ranj o alam o yaas hai, Abbas nahi hai.
Juz Abid e Beemaar koi paas nahi hai,
Bas ek amanat yeh bacha laayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab.

Faryad kunaan bhai ki turbat pe behen hai,
Ab qwahar e Shabbir ka nauha yeh Hasan hai,
Har gaam pa tanhayi ka gham khaayi hai Zainab,
Bhaiyya tere chehlum ke, liye aayi hai Zainab.

Comments