Chala Marne Ali Akbar (Anjuman e Hyderia)

Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab,
Lagi barchi mere dil par bahan Zainab bahan Zainab.

Isse ehsaas hota gar yeh sahebe pisar hota,
Jawaan beta juda hota toh kya haale pidar hota,
Zara us ko bataa jaakar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Guzara bachpana apna tumhari goud mein Akbar,
Laga hai saal atthara toh dekhogi yeh tum kyu kar,
Jab hoga qatl ka manzar,  bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Duaien do balaayein lo kaho mujh se gale mil lo,
Milega phir kahan mauqa kaho surat to dikhlado,
Na dekhna main kabhi ji bhar,  bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Rachi na haath mein mehendi na pehna byaah ka sehra,
Isse dulha bane dekhoon yahi armaan tha mera,
Woh jaata hai soowe lashkar,  bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Yeh pyaasa hai yeh tanha hai udhar laakho sitamgar hai,
Kisi ke haath mein barchi kisi ke saath khanjar hai,
Akela hai mera dilbar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Jigar mein mere dilbar ko meri aankho ka taara hai,
Zameene garm par pyaasa zayeefi ka sahara hai,
Qayamat Tootegi us par,  bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Meri behna mera beta meri aankho ka taara hai,
Jawaan beta hai yeh meri zayeefi ka sahaara hai,
Jiyoon kaise juda hokar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Suno humsheer maqtal se nazar apni hata lena,
Jo khenchoonga sina Akbar ka seene se dua dena,
Na kaampe haath aye kwahar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Khate Sughra jab aayega hamara haal kya hoga,
Woh jiski raah takti thi woh bhai marchuka hoga,
Kaleje par sina kha kar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Sakina ko zara dekho badi hairaan hai beti,
Chacha bhi margaya uska suno ro ro ke kya kehti,
Na ja bhaiya Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Kamar bhi jhuk gayi meri, mera Abbas marne se, 
Gayi beenaayi bhi meri jawaan bete ke marne se, 
Giroonga thokre khaa kar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Karo Mehdi Ali Akbar ka maram fikar yeh likh kar,
Yeh awaaz e aza goonjegi duniya mein sar mimbar,
Zamana royega sunkar, bahan Zainab bahan Zainab,
Chala marne Ali Akbar, bahan Zainab bahan Zainab.

Comments