Kaunsa Ranj Tha Jo Sheh Se Uthaya Na Gaya

kaunsa ranj tha jo sheh se uthaya na gaya
par koi shikwa zaban par kabhi laaya na gaya

chaha akbar ne ke dekhe na pidar zakhme jigar
khoon is josh se ubhla ke chupaya na gaya
kaunsa ranj tha....

hogaye mitke fana khud hi mitaane walay
haa magar matame shabbir mitaya na gaya
kaunsa ranj tha....

khaali jhoola kabhi bhoole se jhula deti thi maa
jhoolna jhoole may asghar ka bhulaaya na gaya
kaunsa ranj tha....

boli maa laashaye akbar ki balayein lekar
tumko naushah mere laal banaya na gaya
kaunsa ranj tha....

tukde tukde tha badan farq tha paara paara
shah se laashaye abbas uthaya na gaya
kaunsa ranj tha....

poocha jab bano ne kya hogaya mera asghar
sheh ka sar jhuk gaya kuch moo se sunaya na gaya
kaunsa ranj tha....

jis tarha sayyede sajjad ko pahunchi eeza
koi bemaar bhi is tarha sataya na gaya
kaunsa ranj tha....

rehgaya ab bhi isi baat ka gham dil may nisar
rauza shabbir ka aankhon se lagaya na gaya
kaunsa ranj tha....

Comments