Kehti Thi Sakina Kya (Anjuman e Hyderia)

Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge,
Ab Shimr sataayega, baba nahi aayenge.

Baba mujhe neend aayegi hargiz nahi tanha,
Jalti yeh zameen aur kaha aap ka seena,
Ab khaak hai bichona, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Daman mein meri aag lagi, jalte hai qaime, 
Aur oyaas ki shiddat jo badha dete hai sholey,
Paani kaha milega, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Bin aap ke baba main bhala, kaise jeeungi,
Asghar ko rakha paas howi, mujh se judaayi,
Yeh gham bhi rulaayega, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Baba mujhe godi me uttha leejiye aakar,
Khoon kaano se behta hai mere, chin gaye gohar,
Mujh par hai sitam aisa, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Is des mein purse ke hai andaaz niraale, 
Zaalim mujhe maare hai tamaacho pe tamaache,
Har gaam par hai rona, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Zaalim phoopi amma ki rida legaye aakar,
Roti hai sabhi bibiya hai sab joh khule sar,
Hum hogaye be parda, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Chaayi hai yateemi ki bala sar pe joh mere, 
Ghera hai andhero ne mujhe, shaam se pehle, 
Sab dard o gham hai sehna, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Abbas chacha jaan lahoo mein hai nahaaye,
Be dast Alamdar hai kis tarha woh aaye, 
Dil toot gaya mera, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Sajjad ke haatho pa Sakina ka tha laasha, 
Zindan me behte howe ashko ne sunaya, 
Tanha hai yahi rehna, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Zamin ne kaha dil se tadap kar yeh joh noha,
Ehsaas ki dunya mein uttha shor fugha ka,
Tha baain Sakina ka, baba nahi aayenge,
Kehti thi Sakina kya, baba nahi aayenge.

Comments