Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar (Anjuman e Hyderia)

Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke,
Chalaya sukhe gale pa khanjar, rulaa rulaa ke.

Uthaaya jisne jawaan ka laasha,
jaro ke gham mein kamar qameeda,
Adoo ne maara hai us pe patthar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Na jaane kitne dino'on ke pyaase,
Zuban pa kaante hai tashnagi se,
Kiya judah sheh ka jism se sar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Hai teer sheh ke badan mein saare,
Nahi hai koi kisse pukare,
Sataya har tarha se sitamgar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Bana ke aale Nabi ko qaidi,
Hai bibiyo ke gale mein rassi,
Phiraya bazaar mein khule sar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Sitam ki kya inteha nahi hai,
Layeen ko qauf e Khuda nahi hai,
Dikhaaya beti ko baap ka sar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Jab aaye shaam e ghareebaan ban mein,
Jalaya qaimo ko haaye run mein,
Sakina Bibi ke cheene gauhar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Mala hai Asgar ka khoon rukh par,
Hai daagh dil par liye bahattar,
Giraya seene pa bhaala rakh kar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Na poocho mujhse Hussain ka gham,
Hai aaj har ghar me farsh e matam,
Sunaya Zamin ne nauha padh kar, rulaa rulaa ke,
Kiya Hai Zaalim Ne Qatl e Sarwar, Rulaa Rulaa Ke.

Comments