Qasid Mera Qat Lejaa (Anjuman e Hyderia)

Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Qasid mere baba ki, pehchaan badi yeh hai,
Abbas alam lekar, baazu mein khada hoga,
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Aata hai nazar jhoola, khaali Ali Asghar ka,
Amma ke kaleje se, shayad woh laga hoga,
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Qasid mere bhai ki, shaadi ke yahi din the,
Humshakl e Payambar hai, sehra bhi bandha hoga,
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Joh main bhi watan hoti, main dekhti Qasim ko,
Sar par mere bhai ke, sehra bhi bandha hoga,
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Khaimon mein khabar dena, qasid hu main Sughra ka,
Mere gham e furqat mein, ek shor macha hoga,
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Dene ko rakha hai kya, le lijiyo tu jaakar,
Akbar ne mere tohra eidi ka rakha hoga,
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Aata hai nazar jhoola,khali Ali Asghar ka,
Amma ke kaleje se, shayad wo laga hoga.
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Mai khaab me dekhi hun, ammu hai lab e dariya,
Paani se sakina ko, sehraab kiya hoga.
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.

Masoom Sakina ki pehchan hai ye qasid,
Sene pe shahedeen ke sir uska rakha hoga,
Qasid mera qat lejaa, ehsaan bada hoga,
Baba mere Kufe mein, mehmaan howa hoga.



Comments