Ya Ali Meri Mayyat Par Mera Haq Khaane Waale Na Aaye

Haye Zehra, Haye Zehra, Haye Zahra, Haye Zahra

Zehra ki ab jahan se rukhsat he Ya Ali
Tum se yahi hamari Wasiyat he Ya Ali
Ya Ali, 
Ya Ali Meri Mayyat Per Mera Haq Khaane Waale Na Aayen x 2
Darbar Me Teri Zehra Ko, Jhutlaane Waale Na Aaye

Ya Ali mere baba har lamha jis dar ko chuma kar-te the
Us dar ko jalane wale aur jalwaane wale na aaye

Ya Ali meri hasrat thi tumko baba ke mimbar par dekhoon
Haye teri jagah uss mimbar par, ajaane waale na aaye

Ya Ali sab ahle Saqeefa ko peghaam mera ye dedena
Baba ke pak janaze par na aane wale naa aaye

Ya Ali pehlu bhi shikasta he, baalon me safaydi chaayi he
Zehra ko teri is haalat me pohnchaane wale na aaye

 Haye… Ya Ali!
Ya Ali mere Mohsin par girya haq tha mera jo cheen liya
Ya Ali mujhe marte marte bhi tarpaane wale na aaye

Ya Ali Zainab ki ankhon me mujhe khauf dikhayi deta he
Gardan me teri haye tang rasan pehnaane wale naa aaye

Ya Ali meri mayyat ko chup kar tareeki me dafna dena
Rone ke liye mujh par mujko rulwane wale na aaye

Salman me bibi ka nauha Mesum ke liye kaise likhun
Jab tak jannat me le ja kar likhwane wale naa aaye

Comments

Post a Comment