Zahra Ko Tumhari Baba Jaan Din Kaisa Dikhaya Jati Hai (Moosa Abedi)


Zahra Ko Tumhari Baba Jaan Din Kaisa Dikhaya Jati Hai,

 

Mein Apne Watan Mein Hoon Lekin Gurbath Ka Andhera Hai Baba,

Baad Aap Ke Kalma Goh Yop Neh Rukh Kaisa Yeh Phera Hain Baba,

Ab Shehr E Madina Mein Mujko Be Jurm Sataya Jata Hai.

 

Sab Mujko Rulane Aate Hain Deta He Nahi Taskeen Koi,

Kya Aap Ki Beti Ki Hogi Ab Is She Badi Tauheen

Κοι, Afsos Haya Ki Malika Ko Darbar Bulaya Jata Hai.

 

Tooti Hui Har Phasli Hai Meri Aankho She Rawa Hain Aansoo Bhi, 

Gar Saans Bhi Leti Hoon Baba Dukh Jata Hain Mera Pehlu Bhi.

Us Par Bhi Sata Kar Hyder Ko Dil Mera Dhukaya Jata Hain.

 

Aashko Ka Safar Rukta He Nahi Mein Ghum Ka Sahifa Lagti Hoon, 

Aathara Baras Mein Aye Baba Dekho Mein Zaeefa Lagi Ti Hoon, 

Jalta Hua Darwaza Mere Pehlu Pe Gira Ya Jata Hain.

 

Chehre Pe Tamacho Ke Hain Nisha Aur Meri Kamar Mein Khum Bhi Hai,

Sadma Hai Tumhari Furqat Ka Mohsin Ka Jigar Mein Pe Ghum Bhi Hain,

Kya Baap Ke Baadh Is Duniya Mein, Ghum Yun Bhi Uthaya Jata Hai.

 

Qunfuz Ne Mujhe Ghar Mein Mere Haste Hue Who Durra Mara, 

Tasbeeh Ki Qatir Ab Mujseh Yeh Haath Nahi Uth Ta Baba,

Tasbeeh Utha Kar Kaise Paruh Bas Ashq Bahaya Jata Hain.

 

Dushwar Hain Mera Uthana Bhi Oudhi Hain Dard Ki Yun Chadar, 

Namaz E Bhi Mujh Par, Jis Waqt Musallah Mere Liye, 

Ro Ro Ke Who Haal Hain Meri Gurbath Ka Roti Hain Bhichaya Jata Hai.

 

Rote Hain Hilal Aur Moosa Sab Hota Hain Bapa Har Su Mehshar,

Beti Ki Gareebi Par Akar Rote Hain Lahu Khud Paighumbar,

Saadath Ki Madar Ke Ghum Mein Jab Nauha Sunaya Jata Hain.


Comments