Fizza Ne Kaha Aun-o Mohammed Gaye Maare

Fizza ne kaha aun-o mohammed gaye maare, dariya ke kinaare 
Maamu pa fida hogaye Zainab ke dulaare, dariya ke kinaare.

Sunkar yeh sada saaniye Zehra yeh pukaari, amma gayi waari 
Aate hi mere laadle duniya se sidhaare, dariya ke kinaare. 

Dekhenge na paani ki taraf aankh utha ke, vaada tha yeh maa se 
Shahzaadon ne dum todh diya pyaas ke maare, dariya ke kinaare. 

Maqtal ke andheron mein thay us ghar ke ujaale, doh phool se pyaare 
Yeh chand ke tukde hain ke tootey huve taare, dariya ke kinaare. 

Qaime mein abhi laane ki jaldi nahin logo, Akbar se yeh kehdo 
Bachhon ko mere bhai ka sadqa toh utaare, dariya ke kinaare. 

Yaad aagaye Muslim ke pisar bekaso muztar, barpa huva mehshar 
Qaatil ne joh sar Aun-o Mohammed ke utaare, dariya ke kinaare. 

Achha hai ke sothey gaye moonh qaak pa rakh ke, saaye mein alam ke 
Abbas ke qadmoun mein rahe laal hamare, dariya ke kinaare. 

Kaata gaya jab qushk gala sibte Nabi ka, farzande Ali ka
Chilla uthi Zainab ke hai hai mere pyaare, dariya ke kinaare. 

Ghar lootey hain Zainab pah qayamat ki ghadi hai, qaamosh khadi hao
Suntah nahin koi woh kise jaake pukaare dariya ke kinaare.

Comments