Al Ajal Al Ajal Ya Imam e Zamaan (Anjuman e Masoomeen)

Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan

Ya Imam e Zamaan, kabaaye do jahan,
De rahe hai sada, yeh zameen asmaan,
Hum shabihe Nabi, de chuke hai azaan.
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan (×4)

Ya Imam e Zamaan, kabaaye do jahan,
De rahe hai sada, yeh zameen asmaan,
Hum shabihe Nabi, de chuke hai azaan, 
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Hum shabihe Nabi, de chuke hai azaan
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Aye Ali aye Mohammad, aye Zehra ki Jaan,
Kitne sadiyo se aankhen bichaayein yaha,
Karbala dhoondti hai qadam ke nishaan,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Karbala dhoondti hai qadam ke nishaan,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Aayiye muntazar, hai yeh duniya o deen,
Poochti hai yeh Karbobala ki zameen,
Kitne sadiyo ka gham hai abhi darmiyaan,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Kitne sadiyo ka gham hai abhi darmiyaan,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Aye azadar e Karbobala Al Ajal,
Aye Alamdar e deen e Khuda Al Ajal,
Aye shareek e aza e shahe do jahan,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Aye shareek e aza e shahe do jahan,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Kaise bhoole woh manzar, Imam e Zamaan,
Woh zayeefi woh maqtal woh laash e jawaan,
Kya qayamat ka tha, Karbala me samaa,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Kya qayamat ka tha, Karbala me samaa,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Aye Hussain e Zamaan, aye Mohammad ki jaan,
Dekhiye aaj bhi ya Imam e Zamaan,
Khoon e mazloom se, surq hai aasmaan
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Khoon e mazloom se, surq hai aasmaan
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Ghazi Abbas ka waasta aayiye,
Shah ki pyaas ka waasta aayiye,
Dekhiye Tashna lab hai abhi bezubaan,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Dekhiye Tashna lab hai abhi bezubaan,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Asr e ashoor shaame alam ki qasam,
Zulm thamta nahi aaj bhi hai sitam,
Apne parcham ke saaye me dijiye amaa,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Apne parcham ke saaye me dijiye amaa,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Ek nigaah e karam ya Imam e Zamaan,
Nasir e ibne Zehra hai yeh Anjuman,
Hai areeza hamari yeh ashq e aza,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Hai areeza hamari yeh ashq e aza,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan. 

Tashnagi dhoop zehra woh rege tapaa,
Zeyr e khanjar woh sajda Woh Zehra ki Jaan,
Thi sar e Karbala maa ki aaho fughaan,
Ya Imam e Zamaan, ya Imam e Zamaan,
Thi sar e Karbala maa ki aaho fughaan,
Al Ajal, Al Ajal, Ya Imam e Zamaan.

Comments