Rukh Se Ek Baar Kafan

Haaye hayder ke janaze pe ajab manzar tha
betiyaan kadmo se lipti thi basad aaho buka
badhke shabbar ne jo chechre se kafan band kiya
dekhkar bhai ke chechre ko ye zainab ne kaha

rukh se ek baar kafan aur hatado bhaiyya
mere baba ka mujhe chehra dikhado bhaiyya

Aaj baba jo mere ghar se chale jaayenge
Phir mujhe shaame garibaan me nazar aayenge
itne din kaise guzarungi batado bhaiyya

jaise amma ki rida me thi shafa nana ki
kya ye mumkin hai ke uth jaaye mere baba bhi
meri chadar mere baba ko udhado bhaiyya

khoon baba ki jabeen se wo gira tha jis pe
apne baba ki nishani mai banalungi use
mere baba ka musalla muje laado bhaiyya

kaise batlaun ye dil gham se phata jata hai
kya juda baap se hokar bhi jiya jaata hai
apni behno ko faqat itna batado bhaiyya

haaye shabbir se zainab ne kaha ro rokar
suna lagta hai amame ke bina baba ka sar
sar pe baba ke amama to sajado bhaiyya

Aa rahi hongi baqqaiya se sada sun ke meri
sar pe baba ke na pad jaaye nazar amma ki
zakhm amma ki nigahon se chhupado bhaiyya

Gham me baba ke tadapta hai zara dekho to
dur baytha hai bula laao mere ghazi ko
paas kuch der to baba ke bithado bhaiyya

Ghar se jata tha janaza jo Ali ka bahar
Betiyan kehti thi zeeshano raza ro rokar
Aakhri baar to baba se milado bhaiyya

Comments

Post a Comment