Shaheed Hogaye Maula (Anjuman e Parwana e Shabbir)

Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Tadap ke kehti thi Zainab, yeh kya howa bhaiya,
Hamare Baba ke sar ko, yeh kisne zakhmi kiya,
Abhi abhi toh Gaye the, Khuda ke ghar Baba (×2)
Yeh ek namazi pa pa mas me kaisa zulm howa,
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Dar e Ali pa hai Kufe, ke bekason ka hujum,
Pachaden khaati hai Zainab, tadapti hai Kulsum,
Joh guzri hai dil e Abbas, par kisse maalum (×2)
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Ameer tha woh ghariboun, ka chaahne waale,
Woh joh yateemo ka aur bekaso ka waaris tha,
Ussi ko sajde me zaqmi kiya hai wawaila (×2)
Saroun ko peet ke Hasnain karte hai girya,
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Andheri shab me woh dunya, ka Malik o Muqtar,
Ghareebiun aur yateemo ka monis o ghamqaar,
Uthaya pusht pa khud rotioun ka ek ambar (×2)
Yeh dekhta tha na hi sheher me koi bhuka,
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Fizaayen karti hai matam, azeem yeh gham hai,
Bahaayein ashk musalsal Ali ka matam hai,
Zameen roti hai chashme, falak bhi purnam hai (×2)
Sare shigafta thame tadapte hai Maula,
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Tadap ke Maula se Umul Baneen ne yeh kaha,
Hawale sab ko Hasan ke kiya mere aagha,
Huzoor be mere Abbas ko nahi poocha (×2)
Main apne laal ko sadqe karu ke rad ho bala,
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Bitha ke pehlu me Abbas ko Ali ne kaha,
Khuda se manga tha tujko baraaye Karbobala,
Khayal rakhna Nabi zaadiyo ke parde ka (×2)
Hawale karta hu Shabbir ke tujhe beta,
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.

Janaza uthta hai baitush sharaf se Hyder ka,
Hussain rote hai Abbas ko hai sakta sa, 
Lahad me binte Payambar bhi karti hai girya  (×2)
Rasheed deena hai binte Ali ko bhi pursa,
Shaheed hogaye Maula ujar gaya Kufa.












Comments