Aale Aba Mein Matam e Shere Khuda Hai Aaj (Anjuman e Masoomeen)

Haye Ali Ya Ali (×4)

Aale aba mein matam e sher e Khuda hai aaj.
Roze vida e hazrat e mushkil kusha hai aaj,
Aale aba mein matam e sher e Khuda hai aaj.

Masjid me Ibn e Muljim ne phalgo ki tegh se
Zakhmi joh hogaya tha ussi ki fazaa hai aaj,
Aale aba mein matam e sher e Khuda hai aaj

Shiyo udhaao khaak garebaan phaad do,
Udiyaan jaha pe farq e rasool e khuda hai aaj,
Aale aba mein matam e sher e Khuda hai aaj.

Mayyat ke gird rote hai baara pisar khade,
Jinko yateem daur e falak mein kiya hai aaj,
Aale aba mein matam e sher e Khuda hai aaj.
 
Pursa do aaj Ahmad e mursal ko bhai ka,
Naayab Rasool haq ka jaahan se utha hai aaj,
Aale aba mein matam e sher e Khuda hai aaj.

Sadiq jahan mein hashr ke aasar hai ayaan,
Mahe siyaam mahe Muharram hua hai aaj
Aale aba mein matam e sher e Khuda hai aaj.



Comments