Kaisi Bad e Qiza Karbala Me Chali

Kaisi bade qiza Karbala me chali, 
Baghe Zehra ki murjha gayi har kali.

Subhe ashoor ghar kitne, aabad the, 
Godiyan thi bhari, sabke atfaal the, 
Ek qayamat hui, dopaher jab dhali,
Kaisi bade qiza...

Bujhgaya Umme Laila, ke ghar ka diya, 
Maa ne Asgher ke jhule pe matam kiya, 
Kat gayi ran me har shaq, phuli phali,
Kaisi bade qiza..

Saqt mushkil mein hai, sarware dil hazin, 
Laash Akber ki maqtal, se uthti nahi, 
Aayiye ab toh imdad ko Ya Ali,
Kaisi bade qiza...

Loot ta tha koi, zar toh chader koi, 
Chin ta tha Sakina ke gouhar koi, 
Bekason me qayamat, ki thi khalbali,
Kaisi bade qiza...

Sar pe chader nahi kya kare qastatan, 
Lashe Shabbir ko chodkar bekafan, 
Karbala se su-ea shaam Zainab chali,
Kaisi bade qiza...

Tumko apne Nabi ka bhi, kuch pass hai, 
Zalimon tumko kuch, iska ahsas hai, 
Kiske qaime jale kiski masnad jali,
Kaisi bade qiza...

Binte Zehra ko ye imtehan saqt tha, 
Samne hakime, sham ka taqt tha, 
Pohunchi darbaar me padhke Nade Ali,
Kaisi bade qiza...

Khoon roti hai chashme, nisare hazin, 
Ek muddat hui, chain dil ko nahi, 
Aaye kal dekhle gar, Najaf ki gali,
Kaisi bade qiza...

Comments