Aye Auno Mohammad

Kehti thi yeh Zainab (×5)
Yu maa ka maan nibhaana (×2)
Aye Auno Mohammad (×6)

shabbir ka tum sadqa ho, ab qaime may beta,
tum laut kar na aana, aye auno-mohamad

hai maa ko yaqeen, tum maa ki baat rakhoge,
ye yaad rahe, qaimo may hai pyase bache,
darya pe agar jaana ho, seh roz ke pyaaso,
tum pyas na bujhana, aye auno-mohamad
aye auno....

har haal may tum par, laazim hai shukr khuda ka,
ay shehzado, hai sabr tumhara virsa,
farzand ho tum zainab ke, shikwa nahi karna,
jab zakhm koi khana, aye auno-mohamad
aye auno....

kab hum pe sitam, karne ke liye aaye hai
yeh badro ohad ke, badle ke liye aaye hai
laazim hai razaz se pehle, maidan may tum par
madhe ali sunana, aye auno-mohamad
aye auno....

jab saans tumhari, bachon ho ukharne wali,
us waqt sirhane, aayengi madar meri,
dil ki ye mere khwahish hai, us dam meri maa se,
zakhmon ko tum chupana, aye auno-mohamad
aye auno....

khaatil pe karam, nana ki tarha kar dena,
yun laaj mere, bhai ke naam ki rakhna,
jo waasta de bhai ka, maidan mein us par,
tum taygh na chalana, aye auno-mohamad
aye auno....

jab laashe uthaakar, qaime may laaye sarwar,
zainab ye boli, askhon ko apne chupakar,
mai bhi na tumhe ro-ungi, aur mere liye bhi, 
aansu na tum bahana, aye auno-mohamad
aye auno....

taazeem ki khaatir, kyun ut-thay nahi ab beta
dekho to sirhane aaye hai mere bhaiya
jaago mere shehzado kya bhoolgaye ho
qadmo pe sar jhukana ay auno-mohamad
ay auno....

shabash mere bachon hoo mai tumse raazi
yeh kehke takallum khamosh huvi shahzadi
naizo, pe safar karke hamraah hamaare
tumko hai shaam jaana ay auno-mohamad
ay auno....

Comments