Ya Sayyedi Ya Abbas (Anjuman e Hyderia)

Abbas Ki Jo Sheh Ko Dariya Se Sada Aayi,
Sheh Rote Huwe Doude Abbas Mere Bhai,
Abbas Ka Pehla Jo Sarwar Ko Mila Shaana,
Mazloom Ke Pyaase ke Ek Dil Pe Laga Bhaala,
Sarwar Ne Juhi Dekha Us Dusre Shaane ko,
Sheh bole Nahi Mera Ab Koi Bachaane Ko,

Reti Pe Gire Pyaase Paani Jo Nahi Aaya.
Seh Roz Ke Pyaason Ki Yoon Toot Gayi Aas.

Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.


Tum Baabe Hawaij Ho, Hyder ka Qamar Tum Ho,
Armaane Dile Hyder, Sarwar Ke Sipar Tum Ho,
Zehra Ki duwaon Ka Sarmaaya Tere paas,
Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.

Karbal Ko Sajaaya hai, Ghaazi ne Wafaon Se,
9 Lakh Ke Lashkar Ko, Roka Hai Nigahon Se,
Nazron Ka Jalaali Hai, Hathyaar Tere Paas.
Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.

Abbas ke Shaano Ko, Ab Kaise Uthaaun Main,
Abbas Mere Bhai, Ab Kisko Pukaaru Main,
Kistarha Jiye Sawar, Ghaazi Hai Nahi Paas.
Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.

Jab Shimr Ne Sarwar Ka, Sar Tan Se Utara Hai,
Bhai Ne Tahe Khanjar, Bhai Ko Pukara Hai,
Aur Toot ti Saanson Me, Abbas Aye Abbas,
Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.

Parda Ye Khuda Ka Hai, Gheerat Yahi Hoti Hai,
Zainab Se Juda Hokar, Chadar Bhi To Roti Hai,
Hyder Ki Tarah Tujhko, Parde Ka Tha Ehsaas
Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.

Bazaar Me Aye Ghazi, Zainab Ye Khule Sar hai,
Chadar Ka Muhafiz To, Abbas E Dilawar Hai,
Balwe Me Tujhi Se Hai, Chadar Ki Mujhe Aas,
Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.

Ulfat Me Sakina Ki, Shaano Ko Kataya Hai,
Shaano Ko Kataker Bhi, Mashkiza Bachaya Hai,
Mashkeeza Chida Dawar, Aur Toot Gayi Aas,
Ya Sayyedi Ya Abbas, Ya Abul Fazlil Abbas.

Comments